Pages

Monday, July 25, 2011

Guru Dutt For My Ears

“Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai”

Yeh Mehlon,Yeh Takhton,Yeh Taajon Ki Duniya,
Yeh Insaan Key Dushman Samaajon Ki Duniya,
Yeh Doulat Key Bhookhey Riwajon Ki Duniya,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai.

Har Ek Jism Ghayal, Har Ek Rooh Pyaasi,
Nigahon Mein Uljhan, Dilon Mein Udaasi,
Yeh Duniya Hai Ya Aalam-e-Badhawasi,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai.

Yahaan Eik Khilona Hai Insaan Ki Hasti,
Yeh Basti Hai Murda Paraston Ki Basti,
Yahaan To Jeevan Sey Hai Maut Sasti,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai.

Jawaani Bhatakti Hai Badkaar Ban Kar,
Jawaan Jism Sajtey Hein Bazaar Ban Kar,
Yahaan Pyaar Hota Hai Byopaar Ban Kar,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai.

Yeh Duniya Jahaan Aadmi Kuch Nahi Hai,
Wafa Kuch Nahi, Dosti Kuch Nahi Hai,
Yahaan Pyaar Ki Qadr Hi Kuch Nahi Hai,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai.

Jala Do Isey, Phoonk Dalo Yeh Duniya.
Mere Saamne Se Hata Lo Yeh Duniya,
Tumhari Hai Tum Hi Sambhalo Yeh Duniya,
Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai?


From Pyaasa.

Meri duniya loot rahi thi, aur main khaamosh tha
Tukade tukade dil ke chunata, kis ko itana hosh tha

Aankh men aansu na the, aur jal raha tha dil jigar
Ro rahi thi hasaraten chup-chaap tha main bekhabar
Kaise aata hosh men jo pahale hi behosh tha
Tukade tukade dil ke chunata, kis ko itana hosh tha

Karavaan dil ka loota baitha hun, manzil ke qarib
Main ne khud kashti dubo di, jaa ke saahil ke qarib
Ye zamin chup-chaap thi, aur aasamaan khaamosh tha
Tukade tukade dil ke chunata, kis ko itana hosh tha


From Mr & Mrs 55

No comments:

Post a Comment